\startsong \stitle{aa, ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian aa, ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai %[qaraar = rest/repose, bedaad = injustice] dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale nashshaa baa_andaazaa-e-Kumaar nahii.n hai %[hayaat = life; dahar = world; baa_andaaza = according to; Kummaar = intoxication ] giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko haae! ki rone pe iKtiyaar nahii.n hai %[giriyaa = weeping; iKtiyaar = control] hamase abas hai gumaan-e-ra.njish-e-Kaatir Kaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai %[abas = indifferent; gumaan = suspicion; ra.njish = unpleasantness;] %[Kaak = ashes/dust; ushshaq = lovers; Gubaar = clouds of dust] dil se uThaa lutf-e-jalvaa haae ma'anii Gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahii.n hai %[ma'anii = meanings, Gair-e-gul = other than blossoms ] qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare waae! agar ahad ustawaar nahii.n hai %['ahad = promise, baare = at last, ustawaar = frim/determined ] tuu ne qasam mai_kashii kii khaaii hai 'Ghalib' terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai! %[mai_kashii = boozing, aitabaar = trust/faith] #endindian \endsong