\startsong \stitle{aah ko chaahiye ik umr asar hone tak} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiita hai terii zulf ke sar hone tak daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-naha.ng dekhe.n kyaa guzre hai qatare pe gauhar hone tak %[daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle; sad = hundred;naha.ng = crocodile;] %[sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred jaws; gauhar = pearl] aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa ra.ng karuu.N Kuun-e-jigar hone tak %[sabr-talab = patient] ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin Kaak ho jaaye.nge ham tumako Kabar hone tak %[taGaaful = neglect/ignore] partav-e-Kuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak %[partav-e-Kuur = sun's rays; shabanam = dew; fanaa = decimate; inaayat = favour] yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak %[besh = excess; Gaafil = ignorant; raqs = dance, sharar = flash/fire] Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj shamm'a har ra.ng me.n jalatii hai sahar hone tak %[juz = other than; marg = death] #endindian \endsong