\startsong \stitle{har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai tumhii.n kaho ke ye a.ndaaz-e-guftaguu kyaa hai na shole me.n ye karishmaa na barq me.n ye adaa koii bataao ki vo shoK-e-tu.ndaKuu kyaa hai ye rashk hai ki vo hotaa hai hamasuKan hamase vagarnaa Kauf-e-badaamozii-e-ad kyaa hai %[rashk = jealousy; hamasuKan = some who agrees with you] %[Kauf = fear; aamozii = teaching; aduu = enemy] chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan hamaarii jeb ko an haajat-e-rafuu kyaa hai %[pairaahan = dress/cloth/robe; haajat = need; rafuu = darning] jalaa hia jism jahaa.N dil bhii jal gayaa hogaa kuredate ho jo ab raakh justajuu kyaa hai rago.n me.n dau.Date phirane ke ham nahii.n qaayal jab aa.Nkh hii se na Tapakaa to phir lahuu kyaa hai vo chiiz jisake liye hamako ho bahisht aziiz sivaa_e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabuu kyaa hai %[bahisht = heaven; baadaa = wine; gulfaam = delicate/like a flower] %[mushkabuu = the smell of musk] piyuu.N sharaab agar Kum bhii dekh luu.N do chaar ye shiishaa-o-qadaah-o-kuuzaa-o-subuu kyaa hai %[Kum = wine barrel, qadaah = goblet, subuu = wine pitcher ] rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii to kis ummiid pe kahiye ke aarazuu kyaa hai %[guftaar = speech] banaa hai shaah kaa musaahib, phire hai itaraataa vagarnaa shahar me.n "Ghalib" kii aabaruu kyaa hai %[musaahib = associate] #endindian \endsong