\startsong \stitle{ibn-e-mariyam huaa kare koii} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian ibn-e-mariyam huaa kare koii mere dukh kii davaa kare koii %[ibn = son; mariyam = The Virgin Mary] shuraa-o-aa_iin par madaar sahii aise qaatil kaa kyaa kare koii %[shuraa = the Islamic divine code of life; aa_iin = law] %[madaar = circumference / place of turning ] chaal jaise ka.Dii kamaa.N kaa tiir dil me.n aise ke jaa kare koii %[jaa = space ] baat par vaa.N zubaan kaTatii hai vo kahe.n aur sunaa kare koii bak rahaa huu.N junuu.N me.n kyaa kyaa kuchh kuchh na samajhe Kudaa kare koii %[junuu.N = ecstasy] na suno gar buraa kahe koii na kaho gar buraa kare koii rok lo gar Galat chale koii baKsh do gar Kata kare koii %[baKsh = pardon, Kata = mistake] kaun hai jo nahii.n hai haajatama.nd kisakii haajat ravaa kare koii %[haajatama.nd = person in need; haajat = need; ravaa = fulfill] kyaa kiyaa Kijr ne sika.ndar se ab kise rahanumaa kare koii jab tavaqqo hii uTh gayii "Ghalib" kyo.n kisii kaa gilaa kare koii %[tavaqqo = expectations; gilaa = complaint] #endindian \endsong