\startsong \stitle{laazim thaa ki dekho meraa rastaa koii din aur} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian laazim thaa ki dekho meraa rastaa koii din aur tanhaa gaye kyo.n ab raho tanhaa koii din aur %[laazim = necessary, tanhaa = alone ] miT jaaegaa sar, gar teraa paththar na ghisegaa huu.N dar pe tere naasiyaa_farsaa koii din aur %[naasiyaa = forehead, farsaa = to kneel down and touch the forehead to the ground] aae ho kal aur aaj hii kahate ho ki jaauu.N maanaa ki hameshaa nahii.n achchaa koii din aur jaate hue kahate ho qayaamat ko mile.nge kyaa Kuub! qayaamat kaa hai goyaa koii din aur haa.N ae falak-e-piir, javaa.N thaa abhii aarif kyaa teraa biga.Dataa jo na marataa koii din aur %[falak-e-piir = referring to God] tum maah-e-shab-e-char_duhum the mere ghar ke phir kyo.n na rahaa ghar kaa vo naqshaa koii din aur %[maah-e-shab-e-char_duhum = moon of the fourteenth night] tum kaun se aise the khare daad-o-sitad ke karataa malak_ul_maut taqaazaa koii din aur %[daad = justice, sitad = to take; malak_ul_maut = angel of death] mujhase tumhe.n nafrat sahii, nayyar se la.Daaii bachho.n kaa bhii dekhaa na tamaashaa koii din aur guzarii na bahar_haal yaa muddat Kushii-naaKush karanaa thaa javaa.N_marg! guzaaraa koii din aur %[javaa.N_marg = one who dies young] naadaa.N ho jo kahate ho ki kyo.n jiite ho 'Ghalib' qismat me.n hai marane kii tamannaa koii din aur #endindian \endsong