\startsong \stitle{masnavi - aamo.n kii taariif me.n} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian haa.N dil-e-dard_ma.nd zam-zamaa saaz kyuu.N na khole dar-e-Kazinaa-e-raaz Kaame kaa safhe par ravaa.N honaa shaaK-e-gul kaa hai gul-fishaa.N honaa mujh se kyaa puuchhataa hai kyaa likhiye nuqtaa haae Kiradafishaa.N likhiye baare, aamo.n kaa kuchh bayaa.N ho jaae Kaamaa naKle ratabafishaa.N ho jaae aam kaa kaun mard-e-maidaa.N hai samar-o-shaaK, guve-o-chaugaa.N hai taak ke jii me.n kyuu.N rahe armaa.N aae, ye guve aur ye maidaa.N! aam ke aage pesh jaave Kaak pho.Dataa hai jale phaphole taak na chalaa jab kisii tarah maqaduur baadaa-e-naab ban gayaa a.nguur ye bhii naachaar jii kaa khonaa hai sharm se paanii paanii honaa hai mujhase puuchho, tumhe.n Kabar kyaa hai aam ke aage neshakar kyaa hai %[neshakar = gannaa/sugarcane] na gul us me.n na shaaK-o-barg na baar jab Kizaa.N aae tab ho us kii bahaar aur dau.Daaiie qayaas kahaa.N jaan-e-shiirii.N me.n ye miThaas kahaa.N jaan me.n hotii gar ye shiiriinii 'kohakan' baavajuud-e-Gam_giinii #endindian \endsong