\startsong \stitle{nahii.n ki mujhako qayaamat kaa etiqaad nahii.n} \lyrics{Mirza Ghalib} \singers{Mirza Ghalib} \printtitle #indian nahii.n ki mujhako qayaamat kaa etiqaad nahii.n shab-e-firaaq se roz-e-jazaa ziyaad nahii.n %[qayaamat = day of judgement; etiqaad = trust/have faith in] %[shab-e-firaaq = night of separation; roz-e-jazaa = day of judgement; ziyaad = more than] ko_ii kahe ki shab-e-mah me.n kyaa buraa_ii hai balaa se aaj agar din ko abr-o-baad nahii.n %[shab-e-mah = moonlit night; abr-o-baad = cloud and wind] jo aauu.N saamane un ke to marahabaa na kahe.n jo jaauu.N vaa.N se kahii.n ko, to Kairabaad nahii.n %[marahabaa = an exclamation indicating extreme pleasure; Kairabaad = to bid farewell] kabhii jo yaad bhii aataa huu.N mai.n to kahate hai.n ke aaj bazm me.n kuchh fitnaa-o-fasaad nahii.n %[fitnaa = mischief; fasaad = fight/riot/uproar] alaavaa iid ke milatii hai aur din bhii sharaab gadaa-e-kuuchaa-e-maiKaanaa naamuraad nahii.n %[gadaa = beggar; kuuchaa = streets; naamuraad = unrewarded] jahaa.N me.n ho Gam-o-shaadii baham, hame.n kyaa kaam diyaa hai hamako Kudaa ne vo dil ke shaad nahii.n %[Gam-o-shaadii = sadness and happiness; baham = next to each other] tum un ke vaade zikr un se kyuu.N karo "Ghalib" ye kyaa ke tum kaho aur vo kahe.n ke yaad nahii.n #endindian \endsong