\startsong \stitle{vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa} \singers{Gulzar #11} \printtitle #indian vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa havaao.n kaa ruup dikhaa rahaa thaa kuchh aur bhii ho gayaa numaayaa.N mai.n apanaa likhaa miTaa rahaa thaa usii kaa imaan badal gayaa hai kabhii jo meraa Kudaa rahaa thaa vo ek din ek ajanabii ko merii kahaanii sunaa rahaa thaa vo umr kar rahaa thaa merii mai.n saal apane ba.Dhaa rahaa thaa #endindian \endsong