\startsong \stitle{ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake} \singers{Hafeez Jullundhary #2} \printtitle #indian ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake tumne hame.n bhulaa diyaa, ham na tumhe.n bhulaa sake tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun kis kii zubaa.N khulegii phir, ham na agar sunaa sake hosh me.n aa chuke the ham josh me.n aa chuke the ham bazm kaa ra.ng dekh kar sar na magar uThaa sake shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaa.N kis kii majaal hai yahaa.N, ham se nazar milaa sake raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikaayate.n rahii.n dil me.n shikaayaten rahii.n lab na magar hilaa sake aisaa bhii ko_ii naamaabar baat pe kaan dhar sake sun kar yakiin kar sake jaa ke u.nhe.n sunaa sake ahal-e-zabaa.N to hai.n bahut koii nahii.n hai ahal-e-dil kaun terii tarah "hafeez" dard ke geet gaa sake #endindian \endsong