\startsong \stitle{haq vafaa kaa jo ham jataane lage} \singers{Altaf Husain Hali #5} \printtitle #indian haq vafaa kaa jo ham jataane lage aap kuchh kahake muskuraane lage ham ko jiinaa pa.Degaa furqat me.n vo agar himmat aazamaane lage %[furqat = separation] Dar hai merii zubaa.N na khul jaaye ab vo baate.n bahut banaane lage jaan bachatii nazar nahii.n aatii Gair ulfat bahut jataane lage tum ko karanaa pa.Degaa uzr-e-jafaa ham agar dard-e-dil sunaane lage %[uzr-e-jafaa = reason for being unfaithful] bahut mushkil hai shevaa-e-tasliim ham bhii aaKir ko jii churaane lage %[shevaa-e-tasliim = style of greeting] vaqt-e-ruKsat thaa saKt "Hali" par ham bhii baiThe the jab vo jaane lage %[vaqt-e-ruKsat = time of separation; saKt = difficult] #endindian \endsong