\startsong \stitle{chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai} \singers{Hasrat Mohani #1} \printtitle #indian chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai baahazaaraa.N iztiraab-o-sad-hazaaraa.N ishtiyaaq tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai tujhase milate hii vo bebaak ho jaanaa meraa aur teraa daato.n me.n vo u.Ngalii dabaanaa yaad hai khii.nch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan aur dupaTTe se teraa vo muu.Nh chhupaanaa yaad hai jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai tujh ko jab ta.nhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz hal-e-dil baato.n hii baato.n me.n jataanaa yaad hai jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKaanaa yaad hai Gair kii nazaro.n se bachakar sab kii marzii ke Kilaaf vo teraa chorii chhipe raato.n ko aanaa yaad hai aa gaya gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaq vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se jab manaa lenaa to phir Kud ruuTh jaanaa yaad hai chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddate.n guzarii.n par ab tak wo thikaanaa yaad hai beruKii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaa.N aur teraa hatho.n me.n vo ka.ngan ghumaanaa yaad hai vaqt-e-ruKsat alvidaa kaa lafz kahane ke liye vo tere sukhe labo.n kaa thar-tharaanaa yaad hai baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai #endindian \endsong