\startsong \stitle{is baar vo milaa to ajiib us kaa r.ang thaa} \singers{Himayat Ali Shayar #3} \printtitle #indian is baar vo milaa to ajiib us kaa r.ang thaa alfaaz me.n tara.ng na lahajaa daba.ng tha %[alfaaz = words (plural of lafz); lahajaa = manner] ek soch thii ki bikharii hu_ii Kaal-o-Kad me.n thii ek dard thaa ki jis kaa shahiid a.ng-a.ng thaa %[Kaal-o-Kad = body] ek aag thii ki raakh me.n poshidaa thii kahii.n ek jism thaa ki ruuh se masaruuf-e-ja.ng thaa %[poshiidaa = hidden; masaruuf = busy in/involved with] mai.n ne kahaa ki yaar tumhe.n kyaa huaa hai ye us ne kahaa ki umr-e-ravaa.N kii ataa hai ye %[umr-e-ravaa.N = life in passing; ataa = gift] mai.n ne kahaa ki umr-e-ravaa.N to sabhii kii hai us ne kahaa ki fikr-o-nazar kii ataa hai ye mai.n ne kahaa ki sochataa rahata to mai.n bhii huu.N us ne kahaa ki aa_iinaa rakhaa huaa hai ye dekhaa to meraa apanaa hii aks-e-jamaal thaa vo vo mai.n thaa aur "Himayat Ali" thaa vo #endindian \endsong