\startsong \stitle{chal mere saath hii chal ai merii jaan-e-Gazal} \singers{Hasrat Jaipuri #4} % Contributed by Harshad Kamat \printtitle #indian chal mere saath hii chal ai merii jaan-e-Gazal in samaajo.n ke banaaye huye ba.ndhan se nikal, chal ham vahaa.N jaaye jahaa.N pyaar pe pahare na lage.n dil kii daulat pe jahaa.N ko_ii luTere na lage.n kab hai badalaa ye zamaanaa, tuu zamaane ko badal, chal pyaar sachchaa ho to raahe.n bhii nikal aatii hai.n bijaliyaa.N arsh se Kud raastaa dikhalaatii hai.n tuu bhii bijalii kii tarah Gam ke a.Ndhero.n se nikal, chal apane milane pe jahaa.N ko_ii bhii u.Ngalii na uThe apanii chaahat pe jahaa.N ko_ii dushman na ha.Nse chhe.D de pyaar se tuu saaz-e-mohabbat-e-Gazal, chal piichhe mat dekh na shaamil ho gunaahagaaro.n me.n saamane dekh ki ma.nzil hai terii taaro.n me.n baat banatii hai agar dil me.n iraade ho.n aTal, chal #endindian \endsong