\startsong \stitle{thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa} \lyrics{Iftikhar Arif} \singers{Iftikhar Arif} \printtitle #indian thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa use to yuu.N bhii kisii aur simt jaanaa thaa vahii chiraaG bujhaa jisakii lau qayaamat thii usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa %[zarb = injury; shajar = tree] mataa-e-jaa.N kaa badal ek pal kii sar-shaarii suluuk Kvaab kaa aa.Nkho.n se taaziraanaa thaa %[sar-shaarii = intoxication; taaziraanaa = related to trade] vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl naii kitaab kaa ek ek varaq puraanaa thaa %[hikaayat-e-vasl = tales of meetings] qabaa-e-zard nigaar-e-Kizaa.N pe sajatii thii tabhii to chaal kaa a.ndaaz Kusrovaanaa thaa %[qabaa = long coat open in front; zard = yellow] %[nigaar = beauty; Kizaa.N = autumn (here referring to desolation)] %[Kusrovaanaa = like an emperor] #endindian \endsong