\startsong \stitle{ye ab khulaa hai ki koii bhii ma.nzar meraa na thaa} \lyrics{Iftikhar Arif} \singers{Iftikhar Arif} \printtitle #indian ye ab khulaa hai ki koii bhii ma.nzar meraa na thaa mai.n jis me.n rah rahaa thaa vahii ghar meraa na thaa mai.n jis ko ek umr sambhaale phiraa kiyaa miTTii bataa rahii vo paikar meraa na thaa mauj-e-havaa-e-shahar-e-muqaddar javaab de dariyaa mere na the ki sama.ndar meraa na thaa phir bhii to sa.ng-saar kiyaa jaa rahaa huu.N mai.n kahate hai.n naam tak sar-e-mahazar meraa na thaa sab log apane apane kabiilo.n ke saath the ek mai.n hii thaa ki koii bhii lashkar meraa na thaa #endindian \endsong