\startsong \stitle{"Insha" jii uTho ab kuuch karo is shahar me.n jii kaa lagaanaa kyaa} \singers{Insha Allah Khan Insha #4} \printtitle #indian "Insha" jii uTho ab kuuch karo is shahar me.n jii kaa lagaanaa kyaa vahashii ko sukuu.N se kyaa matalab jogii kaa nagar me.n Thikaanaa kyaa %[vahashii = wild; sukuu.N = contentment] is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii jis jholii me.n sau chhed hu_e us jholii ko phailaanaa kyaa %[dariidaa-daaman = torn clothing] shab bitii chaa.Nd bhii Duub gayaa za.njiir pa.Dii daravaaze me.n kyo.n der gaye ghar aaye ho sajaanii se karoge bahaanaa kyaa %[shab = night] us husn ke sache motii ko ham dekh sake.n par chhuu na sake.n jise dekh sake.n par chhuu na sake.n vo daulat kyaa vo Kazaanaa kyaa us ko bhii jalaa dukhate hu_e man ik sholaa laal bhabhukhaa ban yuu.N aa.Nsuu ban bah jaanaa kyaa yuu.N maaTii me.n mil jaanaa kyaa jab shahar ke log na rastaa dekhe.n kyo.n ban me.n na jaa bisraam kare diivaano.n kii-sii na baat kare to aur kare diivaanaa kyaa %[ban = jungle; bisraam = rest/relaxation] #endindian \endsong