\startsong \stitle{Khird ke paas Khabar ke siwaa kuchh aur nahii.n} \lyrics{Allama Iqbal} \singers{Allama Iqbal} \printtitle #indian Kird ke paas Kabar ke siwaa kuchh aur nahii.n teraa ilaaj nazar ke siwaa kuchh aur nahii.n %[Kird = dimaaG] har muqaam se aage muqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuchh aur nahii.n ra.ngo.n me.n gardish-e-Kuu.N hai agar to kyaa haasil hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuchh aur nahii.n uruus-e-laalaa munaasib nahii.n hai mujhase hijaab ki mai.n nasiim-e-sahar ke siwaa kuchh aur nahii.n jise qasaad samajhate hai.n taajaran-e-fira.ng wo shay mataa-e-hunar ke siwaa kcuhh aur nahii.n giraa.N_bahaa hai to hifz-e-Kudii se hai warnaa gauhar me.n aab-e-gauhar ke siwaa kuchh aur nahii.n %[giraa.N_bahaa = precious; hifz-e-Kudi = preservation of self] #endindian \endsong