\startsong \stitle{gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar} \lyrics{Allama Iqbal} \singers{Allama Iqbal #5} \printtitle #indian gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar hosh-o-Kiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar %[gesuu-e-taabadaar = lustrous hair; taabadaar = lustrous] tuu hai mahiit-e-bekaraa.N mai.n zaraa sii aabajuu yaa mujhe ham-kinaar kar yaa mujhe be-kinaar kar mai.n huu.N sadaf to tere haath mere gauhar kii aabaruu mai.n huu.N Kazaf to tuu mujhe gauhar-e-shaahawaar kar naGmaa-e-naubahaar agar mere nasiib me.n na ho is dam e niim soz ko taairaak-e-bahaar kar ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n yaa tuu Kud aashakaar ho yaa mujh ko aashakar kar %[aashakaar = visible] baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar roz-e-hisaab jab pesh ho meraa daftar-e-amal aap bhii sharmasaar ho, mujh ko bhii sharmsaar kar #endindian \endsong