\startsong \stitle{ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai} \singers{Jigar Moradabadi #1} % Contributed by: David Windsor, U.V.Ravindra \printtitle #indian ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai ye kisakaa tasavvur hai, ye kisakaa fasaanaa hai jo ashk hai aa.Nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasanaa hai rone ko nahii.n koii ha.Nsane ko zamaanaa hai vo aur vafaa-dushman, maane.nge na maanaa hai sab dil kii sharaarat hai aa.Nkho.n kaa bahaanaa hai kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai ham Kaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai vo husn-o-jamaal unakaa ye ishq-o-shabaab apanaa jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai yaa vo the Kafaa ham se yaa ham the Kafaa unase kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai ashko.n ke tabassum me.n aaho.n ke tarannum me.n maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai aa.Nkho.n me.n namii sii hai chup-chup se wo baiThe hai.n nazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai ham Kaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai ai ishq-e-junuu.N-peshaa! haa.N ishq-e-junuu.N-peshaa aaj ek sitamagar ko ha.Ns ha.Ns ke rulaanaa hai ye ishq nahii.n aasaa.N itanaa to samajh liije ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai aa.Nsuu to bahot se hai.n aa.Nkho.n me.n 'Jigar' lekin bi.ndh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai #endindian \endsong