\startsong \stitle{bujhii huii shamaa kaa dhuaa.N huu.N, aur apane markaz ko jaa rahaa huu.N} \lyrics{Jigar Moradabadi} \singers{Jigar Moradabadi} \printtitle #indian bujhii huii shamaa kaa dhuaa.N huu.N, aur apane markaz ko jaa rahaa huu.N ke dil kii hastii to miT chukii hai, ab apanii hastii miTaa rahaa huu.N %[markaz = fixed station] muhabbat insaan kii hai fitrat kahaa hai inqaa ne kar ke ulfat vo aur bhii yaad aa rahaa hai mai.n us ko jitanaa bhulaa rahaa huu.N ye vaqt hai mujh pe ba.ndagii kaa jise kaho sajdaa kar luu.N varnaa azal se taa be-afriinat mai.n aap apanaa Kudaa rahaa huu.N zabaa.N pe labaik har nafas me.n zamii.n pe sajde hai.n har qadam par chalaa huu.N yuu.N butakade ko naaseh, ke jaise kaabe ko jaa rahaa huu.N %[labaik = in thy service] #endindian \endsong