\startsong \stitle{kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe} \singers{Jigar Moradabadi #35} \printtitle #indian kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe jab tak hamaare paas rahe ham nahii.n rahe iimaan-e-kufr aur na duniyaaa va dii.n rahe ai ishq shaadabaash ki tanahaa hamii.n rahe yaa rab kisii ke raaz-e-mohabbat kii Kair ho dast-e-junuu.N rahe na rahe aastii.n rahe jaa aur ko_ii zabt kii duniyaa talaash kar ai ishq ham to ab tere qaabil nahii.n rahe mujh ko nahii.n qubuul do aalam kii vus'ate.n qismat me.n kuu-e-yaar kii do Gaz zamii.n rahe dard-e-Gam-e-firaaq ke ye saKt marahale hairaa.N huu.N mai.n ki phir bhii tum itane hasii.n rahe is ishq kii talaafii-e-maafaat dekhanaa rone kii hasarate.n hai.n jab aa.Nsuu nahii.n rahe #endindian \endsong