\startsong \stitle{ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah} \singers{Jan Nissar Akhtar #10} \printtitle #indian ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah hamane chaahaa hai tumhe.n chaahane vaalo.n kii tarah Kud-ba-Kud nii.nd-sii aa.Nkho.n me.n ghulii jaatii hai mahakii mahakii hai shab-e-Gam tere baalo.n kii tarah aur kyaa is se zyaadaa ko_ii narmii baratuu.N dil ke zaKmo.n ko chhuaa hai tere gaalo.n kii tarah aur to mujh ko milaa kyaa merii mehanat kaa silaa cha.nd sikke hai.n mere haath me.n chhaalo.n kii tarah zi.ndagii jis ko teraa pyaar milaa vo jaane ham to naakaam rahe chaahane vaalo.n kii tarah #endindian \endsong