\startsong \stitle{zamaanaa aaj nahii.n Dagamagaa ke chalane kaa} \singers{Jan Nissar Akhtar #13} \printtitle #indian zamaanaa aaj nahii.n Dagamagaa ke chalane kaa sambhal bhii jaa ki abhii vaqt hai sambhalane kaa bahaar aaye chalii jaaye phir chalii aaye magar ye dard kaa mausam nahii.n badalane kaa ye Thiik hai ki sitaaro.n pe ghuum aaye hai.n magar kise hai saliqaa zamii.n pe chalane kaa phire hai.n raato.n ko aavaaraa ham to dekhaa hai galii galii me.n samaa.N chaa.Nd ke nikalane kaa tamaam nashaa-e-hastii tamaam kaif-e-vajuud vo ik lamhaa tere jism ke pighalane kaa #endindian \endsong