\startsong \stitle{ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake} \singers{Josh Malihabadi} \printtitle #indian ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake ki Gu.Nche khil to sake khil ke muskuraa na sake merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii jo raushanii me.n rahe raushanii ko paa na sake na jaane aah! ki un aa.Nsuuo.n pe kyaa guzarii jo dil se aa.Nkh tak aaye mishgaa.N tak aa na sake rahe.n Kuluus-e-muhabbat ke haadasaat jahaa.N mujhe to kyaa mere naqsh-e-qadam miTaa na sake kare.nge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil jo zi.ndaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake nayaa zamaanaa banaane chale the diivaane na_ii zamii.n, nayaa aasamaa.N banaa na sake #endindian \endsong