\startsong \stitle{Khaamoshii kaa samaa.N hai aur mai.n huu.N} \singers{Josh Malihabadi #10} \printtitle #indian Kaamoshii kaa samaa.N hai aur mai.n huu.N dayaar-e-Kuftagaa.N hai aur mai.n huu.N %[dayaar-e-Kuftagaa.N = world of sleeping people] kabhii Kud ko bhii i.nsaa.N kaash samajhe ye sa_ii-e-raayagaa.N hai aur mai.n huu.N %[sa_ii-e-raayagaa.N = futile attempt] kahuu.N kis se ki is jamahuuriyat me.n hujuum-e-Kasaravaa.N hai aur mai.n huu.N %[hujuum-e-Kasaravaa.N = mob of kings] pa.Daa huu.N is taraf dhuunii ramaaye ataab-e-rah-ravaa.N hai aur mai.n huu.N %[ataab-e-rah-ravaa.N = wayfarers' wrath] kahaa.N hai ham-zabaa.N allaah jaane faqat merii zabaa.N hai aur mai.n huu.N %[faqat = merely] Kaamoshii hai zamii.n se aasmaa.N tak kisii kii daastaa.N hai aur mai.n huu.N qayaamat hai Kud apane aashiyaa.N me.n talaash-e-aashiyaa.N hai aur mai.n huu.N jahaa.N ek jurm hai yaad-e-bahaaraa.N vo laafaanii Kizaa.N hai aur mai.n huu.N %[laafaanii Kizaa.N = eternal autumn] tarasatii hai.n Kariidaaro.n kii aa.Nkhe.n javaahir kii dukaa.N hai aur mai.n huu.N %[javaahir = jeweller] nahii.n aatii ab aavaaz-e-jaras bhii Gubaar-e-kaaravaa.N hai aur mai.n huu.N %[aavaaz-e-jaras = sound of bells] %[Gubaar-e-kaaravaa.N = dust left behind by a caravan] ma'al-e-ba.ndagii ai "Josh" taubaa Kudaa-e-meharabaa.N hai aur mai.n huu.N %[ma'al-e-ba.ndagii = fruits of one's worship] #endindian \endsong