\startsong \stitle{tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal} \singers{Zafar Kaleem #1} % Additions by Simi Chowdhury \printtitle #indian tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal pahalaa haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa pahalaa haq thaa terii Kushbuu-e-badan par meraa ab meraa pyaar tere pyaar kaa haqadaar nahii.n mai.n tere gesuu-o-ruKsaar kaa haqadaar nahii.n ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaauu.N kaise mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaauu.N kaise merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Kushbuu shaayad mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad apanii taqadiir banaa meraa muqaddar na badal mujh se kahatii hai.n ye Kaamosh nigaahe.n terii merii paravaaz se u.Nchii hai.n panaahe.n terii aur Gairat-e-ehasaas pe sharmi.ndaa huu.N ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal #endindian \endsong