\startsong \stitle{kabhii jo mai.n ne musarrat kaa ehatamaam kiyaa} \lyrics{Khumar Barabanqvi} \singers{Khumar Barabanqvi} % Contributed by Fayaz Razvi \printtitle #indian kabhii jo mai.n ne musarrat kaa ehatamaam kiyaa ba.De Tappak se Gam ne mujhe salaam kiyaa hazaar tark-e-ta'alluq kaa ehatamaam kiyaa magar jahaa.N vo mile dil ne apanaa kaam kiyaa zamaanevaalo.n ke Dar se uThaa na haath magar nazar se usane basad ma'azarat salaam kiyaa kabhii ha.Nse kabhii aahe.n bharii.n kabhii roye baqadr-e-martabaa har Gam kaa ehataraam kiyaa hamaare hisse kii may kaam aae pyaaso.n ke ze-e-raah-e-Kair gunaah shikast-e-jaam kiyaa taluu-e-mahar se bhii ghar ki tiiragii na ghaTii ek aur shab kaTii yaa mai.n ne din tamaam kiyaa duaa ye hai ke na huu.N gumaraah hamasafar mere "Kumar" mai.n ne to apanaa safar tamaan kiyaa #endindian \endsong