\startsong \stitle{ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye} \lyrics{Khumar Barabanqvi} \singers{Khumar Barabanqvi} % Contributed by Fayaz Razvi \printtitle #indian ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye do din kii zi.ndagii kaa mazaa ham se puuchhiye bhuule hai.n u.nhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham qishto.n me.n Kud-kushii kaa mazaa ham se puuchhiye aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye a.njaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye jalate diyo.n me.n jalate gharo.n jaise zau kahaa.N sarakar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye vo jaan hii gae ke hame.n un se pyaar hai aa.Nkho.n kii muKbarii kaa mazaa ham se puuchhiye ha.Nsane kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah ha.Nsiye magar ha.Nsii kaa mazaa ham se puuchhiye ham taubaa kar ke mar gae bemaut ai "Kumar" tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye #endindian \endsong