\startsong \stitle{ai maut! u.nhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye} \singers{Khumar Barabanqvi} \printtitle #indian ai maut! u.nhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye O jaane vaale aa ki tere i.ntazaar me.n raste ki ghar banaaye zamaane guzar gaye Gam hai na ab Kushii hai na ummiid hai na yaas sab se najaat paaye zamaane guzar gaye kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii.n ab mai.n dosto.n patthat bhii ghar me.n aaye zamaane guzar gaye jaane bahaar phuul nahii.n aadamii huu.N mai.n aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye kyaa kyaa tavaqqo'at thii aaho.n se ai "Kumar" ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye #endindian \endsong