\startsong \stitle{duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa} \singers{Khwaja Mir Dard #3} \printtitle #indian duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa par muu.Nh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa phiratii hai merii khaak sabaa dar-ba-dar liye aye chashm-e-ashkabaar ye kyaa tujh ko ho gayaa aagaah is jahaa.N me.n nahiii.n Gair be Kudaa.N jaagaa wahii idhar se jo muu.Nd aa.Nkh so gayaa tuufaan-e-noah ne to Dubaaii zamiin faqat mai.n nang-e-khalq saarii Kudaaii Dubo gayaa baraham kahii.n na ho gul-o-bulbul kii aashatii Darataa huu.N aaj baaG me.n wo tu.nd khuu gayaa waaiz kise daraawe hai yom-ulhisaab se giriyaa.N meraa to naamaa-e-aamal dho gaya phule.nge is zabaa.N me.n bhii gulzar-e-maarafat yaa.N mai.n zamiin-e-sher me.n ye tukhm bo gayaa aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar mai.n garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya aye "Dard" jis kii aa.Nkh khulii is jahaa.N me.n shabanam kii tarah jaan ko apanii wo ro gayaa #endindian \endsong