\startsong \stitle{jhuuThii sachchii aas pe jiinaa kab tak aaKhir kab tak} \singers{Kashif Indori} \printtitle #indian jhuuThii sachchii aas pe jiinaa kab tak aaKir kab tak may kii jagah Kuun-e-dil piinaa kab tak aaKir kab tak sochaa hai ab paar utare.nge yaa Takaraa kar Duub mare.nge tuufaano.n kii zad pe safiinaa kab tak aaKir kab tak ek mahiine ke vaade par saal guzaaraa phir bhii na aaye vaade kaa ye ek mahiinaa kab tak aaKir kab tak saamane duniyaa bhar ke Gam hai.n aur idhar ik tanahaa ham hai.n saika.Do.n patthar ik aa_iinaa kab tak aaKir kab tak #endindian \endsong