\startsong \stitle{har goshaa gulistaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa} \singers{Khalid Kuwaiti} \printtitle #indian har goshaa gulistaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa ek jashn-e-bahaaraa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa naGme.n the havaao.n me.n jaduu thaa fizaao.n me.n har saa.ns Gazalfaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa dariyaa-e-mohabbat me.n kashtii thii javaanii kii jazbaat kaa tuufaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa mahataab thaa baaho.n me.n jalve the nigaaho.n me.n har simt charaaGaa.N thaa kal raat jahaa.N mai.n thaa #endindian \endsong