\startsong \stitle{firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye} \singers{Aziz Haamid Madni} % Contributed by Irfan Sattar \printtitle #indian firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye subuk huye hai.n to aish-e-malaal se bhii gaye jo but-kade me.n the vo sahibaan-e-kashf-o-kamaal haram me.n aaye tp kashf-o-kamaal se bhii gaye usii nigaah kii narmii se Dag-magaa gaye qadam usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii gaye Gam-e-hayaat-o-Gam-e-dost kii kashaakash me.n ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii gaye vo log jin se terii bazm me.n the ha.ngaame gaye to kyaa terii bazm-e-Kayaal se bhii gaye ham aise kaun the lekin qafas ki ye duniyaa ke par-shikasto.n me.n apanii misaal se bhii gaye charaag-e-bazm abhii jaan-e-a.njuman na bujhaa ke ye bujhaa to tere khad-o-Kaal se bhii gaye #endindian \endsong