\startsong \stitle{siine me.n un ke jalve chhupaaye huye to hai.n} \singers{Majaz #9} \printtitle #indian siine me.n un ke jalve chhupaaye huye to hai.n ham apane dil ko tuur banaaye huye to hai.n %[tuur = mountain on which Moses had hsi vision] taasiir-e-jazb-e-shauq dikhaaye huye to hai.n ham teraa har hijaab uThaaye huye to hai.n %[taasiir = effect/result; jazbaa = emotion; hijaab = veil] haa.N vo kyaa huaa vo hausalaa-e-diid ahal-e-dil dekho na vo naqaab uThaaye huye to hai.n %[hausalaa-e-diid = courage to see/view] tere gunaahagaar gunaahagaar hii sahii tere karam kii aas lagaaye huye to hai.n allaah re qaamayaabii-e-aavaaragaan-e-ishq Kud gum huye to kyaa use paaye huye to hai.n ye tujh ko iKtiyaar hai taasiir de na de dast-e-duaa ham aaj uThaaye huye to hai.n %[iKtiyaar = control; taasiir = result; dast-e-duaa = hands raised in prayer] miTate huo.n ko dekh ke kyo.n ro na de.n "Majaz" aaKir kisii ke ham bhii miTaaye huye to hai.n #endindian \endsong