\startsong \stitle{husn ko be-hijaab honaa thaa} \singers{Majaz #10} \printtitle #indian husn ko be-hijaab honaa thaa shauq ko kaamayaab honaa thaa hijr me.n kaif-e-iztaraab na puuchh Kuun-e-dil bhii sharaab honaa thaa tere jalvo.n me.n ghir gayaa aaKir zarre ko aafataab honaa thaa kuchh tumhaarii nigaah kaafir thii kuchh mujhe bhii Karaab honaa thaa raat taaro.n kaa TuuTanaa bhii "Majaz" baa_is-e-iztaraab honaa thaa #endindian \endsong