\startsong \stitle{din kaT rahe hai.n kash-ma-kash-e-rozagaar me.n} \singers{Majid Amjad #1} \printtitle #indian din kaT rahe hai.n kash-ma-kash-e-rozagaar me.n dam ghuT rahaa hai saayaa-e-abr-e-bahaar me.n aatii hai apane jism ke jalane kii buu mujhe luTate hai.n nakahato.n ke sabuu jab bahaar me.n %[nakahat = fragrance] guzaraa idhar se jab ko_ii jho.nkaa to chau.nk kar dil ne kahaa ye aa gaye ham kis dayaar me.n mai.n ik pal se ra.nj-e-furaavaa.N me.n kho gayaa murjhaa gaye zamaane mere i.ntazaar me.n %[ra.nj-e-furaavaa.N = extreme sadness] hai ku.nj-e-aafiyat tujhe paa kar pataa chalaa kyaa hum-hume the gard-e-sar-e-rahaguzaar me.n %[ku.nj-e-aafiyat = place for rest] #endindian \endsong