\startsong \stitle{umro.n ke is maamuure me.n hai ko_ii aisaa din bhii jo} \singers{Majid Amjad #2} \printtitle #indian umro.n ke is maamuure me.n hai ko_ii aisaa din bhii jo ruuh me.n ubhare phaa.Nd ke suuraj ke saiyaal sama.ndar ko itane kaam hai.n in mavvaaz safo.n me.n Kush Kush phirataa huu.N lekin aaj agar kuchh apane baare me.n bhii sochaa to ek safar ki hai sirf musaafat ek safar ki hai juzv-e-safar jiine vaale yo.n bhii jiye hai.n ek umr aur zamaane do ye a.njaanaa shahar aur paraaye log ai dil tum yahaa.N kahaa.N aaj is bhii.D me.n itane dino.n ke baad mile ho kaise ho duniyaa mu.Dii-tu.Dii sachchaa_ii sab sachche ko_ii to kabhii is a.ndhere se nikale apane jhuuThe ruup ke darshan ko aaKir apane saath kabhii to ik be-mahar muravvat bhii apane saare naam bhulaakar kabhii Kud apane gun to gino kachchiinii.nd aur jism ne dhuup chakhii aur dil me.n phuul khile ghaas kii sej pe mai.n huu.N tumhaare dhyaan me.n aane vaale dino #endindian \endsong