\startsong \stitle{ham ko junuu.N kyaa sikhalaate ho ham the pareshaa.N tumase ziyaadaa} \lyrics{Majrooh Sultanpuri} \singers{Majrooh Sultanpuri} \printtitle #indian ham ko junuu.N kyaa sikhalaate ho ham the pareshaa.N tumase ziyaadaa chaak kiye hai.n hamane aziizo.n chaar garebaa.N tumase ziyaadaa chaak-e-jigar muhataaj-e-rafuu hai aaj to daaman sirf lahuu hai ek mausam thaa ham ko rahaa hai shauq-e-bahaaraa.N tumase ziyaadaa jaao tum apanii baam kii Kaatir saarii lave.n shamo.n kii katar lo zaKmo.n ke mahar-o-maah salaamat jashn-e-chiraaGaa.N tumase ziyaadaa ham bhii hameshaa qatl hue and tum ne bhii dekhaa duur se lekin ye na samajhe hamako huaa hai jaan kaa nukasaa.N tumase ziyaadaa za.njiir-o-diivaar hii dekhii tumane to "Majrooh" magar ham kuuchaa-kuuchaa dekh rahe hai.n aalanm-e-zi.ndaa.N tumase ziyaadaa #endindian \endsong