\startsong \stitle{bikharate TuuTate lamaho.n ko apanaa ham-safar jaanaa} \singers{Makhmoor Saeedi #1} \printtitle #indian bikharate TuuTate lamaho.n ko apanaa ham-safar jaanaa thaa is raah me.n aaKir hame.n Kud bhii bikhar jaanaa havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n kisii jho.nke se puuche.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa %[dosh = shoulder] mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa mu.ntazir hogaa isii ek vaham ko hamane chiraaG-e-rahaguzar jaanaa %[pas-e-zulmat = beyond the darkness; mu.ntazir = waiting] dayaar-e-Kaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai hame.n "Makhmoor"ek din hai isii aavaaz par jaanaa %[dayaar-e-Kamashii = house of death] #endindian \endsong