\startsong \stitle{ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaauu.N mai.n} \singers{Mazhar Imam #2} \printtitle #indian ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaauu.N mai.n ki Kud ko yaad rakhuu.N us ko bhuul jaauu.N mai.n %[tajarubaa = experiment] fareb-e-kaar me.n kuchh to hai ko_ii baat to hai ki jaan buujh ke itane fareb khaauu.N mai.n %[fareb-e-kaar = one who betrays] vo pal kahaa.N hai.n jo duniyaa se jo.Dataa thaa mujhe jo paauu.N tujh ko to sab ke qariib aauu.N mai.n kabhii to ho mere ehasaas-kam-tarii me.n kamii kabhii to ho ki use khul ke aauu.N mai.n vo shaKs hai ki nasiim-e-sahar kaa jho.Nkaa hai bikhar hii jaauu.N jo us ko gale lagaauu.N mai.n %[nasiim-e-sahar = morning wind] azaa.N ke baad duaa ko jo haath uThaaye vo "Imam" apanii namaaze.n bhii bhuul jaauu.N mai.n %[azaa.N = call for prayer] #endindian \endsong