\startsong \stitle{chaa.Nd tanhaa hai aasmaa.N tanhaa} \lyrics{Meena Kumari} \singers{Meena Kumari} \printtitle #indian chaa.Nd tanhaa hai aasmaa.N tanhaa dil milaa hai kahaa.N kahaa.N tanhaa bujh gaii aas chhup gayaa taaraa tharatharaataa rahaa dhuaa.N tanhaa zi.ndagii kyaa isii ko kahate hai.n jism tanhaa hai aur jaa.N tanhaa hamasafar koii gar mile bhii kahii.n dono chalate rahe tanhaa tanhaa jalatii bujhatii sii raushanii ke pare simaTaa simaTaa saa ek makaa.N tanhaa raah dekhaa karegaa sadiyo.n tak chho.D jaayenge ye jahaa.N tanhaa #endindian \endsong