\startsong \stitle{Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa} \lyrics{Meer Taqi Meer} \singers{Meer Taqi Meer} \printtitle #indian Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa husn thaa teraa bahot aalam fareb Kat ke aane par bhii ik aalam rahaa mere rone kii haqiiqat jis me.n thii ek muddat tak vo kaaGaz nam rahaa jaamaa-e-eharaam-e-zaahid par na jaa thaa haram me.n lekin naa-maharam rahaa %[jaamaa-e-eharaam = robe worn on Haj; naa-maharam = immodest/impure] #endindian \endsong