\startsong \stitle{ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa} \lyrics{Meer Taqi Meer} \singers{Meer Taqi Meer} \printtitle #indian ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa aage aage dekhiye hotaa hai kyaa %[ibtidaa-e-ishq = beginning of love] qaafile me.n subah ke ik shor hai yaani Gaafil ham chale sotaa hai kyaa %[qaafilaa = caravan; Gaafil = one who is careless/ignorant] sabz hotii hii nahii.n ye sar-zamii.n tuKm-e-Kvaahish dil me.n tuu botaa hai kyaa %[tuKm-e-Kvaahish = seeds of desire] ye nishaan-e-ishq hai.n jaate nahii.n daaG chhaatii ke abas dhotaa hai kyaa Gairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziiz 'Meer' is ko raegaa.N khotaa hai kyaa %[Gairat-e-yusuf = yusuf's honour; aziiz = dear] #endindian \endsong