\startsong \stitle{mere sa.ng-e-mazaar par Farahaad} \singers{Meer Taqi Meer} \printtitle #indian mere sa.ng-e-mazaar par farahaad rakh ke teshaa kahe hai 'yaa ustaad' %[sa.ng = stone; mazaar = tomb; farahaad = of Shirin-farhad fame; teshaa = axe] ham se bin marg kyaa judaa ho malaal jaan ke saath hai dil-e-naashaad %[marg = death; malaal = sorrow/life's difficulties; dil-e-naashaad = wretched heart] fikr-e-taamiir me.n na rah muniim zi.ndagii kii kuchh bhii hai buniyaad %[fikr = worry; taamiir = construction; muni'im = rich person/friend; buniyaad = foundation] Kaak bhii sar pe Daalane ko nahii.n kis Karaabe me.n ham huye aabaad %[Kaak = dust/ashes; Karaabe = wasteland] sunate ho tuk suno ki phir mujh baad na sunoge ye naalaa-o-fariyaad %[tuk = moment(here it means 'for a little while'); naalaa-o-fariyaad = wails and pleas] har taraf hai.n asiir ham-aavaaz baaG hai ghar teraa to ai sayyaad %[asiir = prisoner; ham-aavaaz = in one voice/in chorus; sayyad = hunter] ham ko maranaa ye hai ke kab hove apanii qaid-e-hayaat se aazaad %[qaid = prison; hayaat = life] #endindian \endsong