\startsong \stitle{aarazuue.n hazaar rakhate hai.n} \singers{Meer Taqi Meer #47} \printtitle #indian aarazuue.n hazaar rakhate hai.n to bhii ham dil ko maar rakhate hai.n barq kam hausalaa hai ham bhii to dil ek beqaraar rakhate hai.n Gair hai muuraad-e-inaayat haa_e ham bhii to tum se pyaar rakhate hai.n na nigaah na payaam na vaadaa naam ko ham bhii yaar rakhate hai.n ham se Kush zam-zamaa kahaa.N yuu.N to lab-o-lahajaa hazaar rakhate hai.n chhoTe dil ke hai.n butaa.N mashhuur bas yahii aitabaar rakhate hai.n phir bhii karate hai.n "Meer" saahib ishq hai.n javaa.N iKtiyaar rakhate hai.n #endindian \endsong