\startsong \stitle{chaman me.n ra.ng-e-bahaar utaraa to mai.n ne dekhaa} \lyrics{Munir Niazi} \singers{Munir Niazi} % Contributed by Yogesh Sethi \printtitle #indian chaman me.n ra.ng-e-bahaar utaraa to mai.n ne dekhaa nazar se dil kaa Gubaar utaraa to mai.n ne dekhaa mai.n niim shab aazamaa ke hasarat ko dekhataa thaa chaman me.n vo husn zaar utaraa to mai.n ne dekhaa Kumaar mai thii vo cheharaa kuchh aur lag rahaa thaa Dam-e-sahar jab Kumaar utaraa to mai.n ne dekhaa galii ke baahar tamaam ma.nzil badal gaye the jo saayaa ek kuu-e-yaar utaraa to mai.n ne dekhaa ik aur dariyaa kaa saamanaa thaa 'Munir' mujh ko mai.n ek dariyaa ke paar utaraa to mai.n ne dekhaa #endindian \endsong