\startsong \stitle{jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam} \singers{Anand Narain Mullah #1} \printtitle #indian jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam zi.ndagii hai dil kii dha.Dakan tez ho jaane kaa naam qataraa qataraa zi.ndagii ke zahar kaa piinaa hai Gam aur Kushii hai do gha.Dii pii kar bahak jaane kaa naam i.ntazaar-e-fasl-e-gul me.n kho chuke aa.Nkho.n kaa nuur aur bahaar-e-baaG letii hii nahii.n aane kaa naam taab-e-naakaamii nahii.n to aarazuu karataa hai kyaa aarazuu hai mauj ke saahil se Takaraane kaa naam %[taab-e-naakaamii = the strength to bear failure] aaj tuu kal ko_ii aur hogaa sadar-e-bazm-e-may saaqiyaa tujh se nahii.n ham se hai maiKaane kaa naam %[sadar-e-bazm-e-may = head of the gathering of wine-drinkers] vaaqif-e-"Mullah" na thii bazm-e-Kirad, ye tay huaa ho na ho, ye hai kisii mashahuur diivaane kaa naam %[vaaqif = acquainted with; bazm-e-Kirad = gathering of intelligent people] #endindian \endsong