\startsong \stitle{sar-e-mahashar yahii puuchhuu.Ngaa Khudaa se pahale} \singers{Anand Narain Mullah #2} \printtitle #indian sar-e-mahashar yahii puuchhuu.Ngaa Kudaa se pahale tuune rokaa bhii thaa mujarim ky Kataa se pahale ashk aa.Nkho.n me.n hai.n hoTho.n pe bukaa se pahale qaafilaa Gam kaa chalaa baa.ng-e-daraa se pahale u.D gayaa jaise yakaayak mere shaano.n par se vo jo ik bojh thaa tasliim-e-Kataa se pahale haa.N yahaa.N dil jo kisii kaa hai ab aa_iinaa-e-husn varq-e-saadaa thaa ulfat kii ziyaa se pahale ibtidaa hii se na de ziist mujhe dars us kaa aur bhii baab to hai.n baab-e-razaa se pahale mai.n giraa Kaak pe lekin kabhii tum ne sochaa mujh pe kyaa biit ga_ii laGzish-e-paa se pahale ashk aate to the lekin ye chamak aur ta.Dap un me.n kab thii Gam-e-ulfat kii ziyaa se pahale dar-e-mayaKaanaa se aatii hai sadaa-e-saaqii aaj seraab kiye jaa_e.nge pyaase pahale raaz-e-mayanoshii-e-"Mullah" huaa afshaa.N varnaa samajhaa jaataa thaa valii laGzish-e-paa se pahale #endindian \endsong