\startsong \stitle{ab ke barasaat kii rut aur bhii bha.Dakiilii hai} \singers{Muzaffar Warsi} % Additions by: Fayaz Razvi \printtitle #indian ab ke barasaat kii rut aur bhii bha.Dakiilii hai jism se aag nikalatii hai, qabaa giilii hai %[qabaa = saamane se khulaa huaa lambaa coat] sochataa huu.N ke ab a.njaam-e-safar kyaa hogaa log bhii kaa.Nch ke hai.n, raah bhii pathariilii hai shiddat-e-karb me.n to ha.Nsanaa karb hai meraa haath hii saKt hai.n za.njiir kahaa.N Dhiilii hai gard aa.Nkho.n me.n sahii daaG to chehare pe nahii.n lafz dhu.Ndhale hai.n magar fikr to chamakiilii hai ghol detaa hai sama'at me.n vo miiThaa lahajaa kis ko maaluum ke ye qi.nd bhii zahariilii hai pahale rag-rag se merii Kuun nicho.Daa us ne ab ye kahataa hai ke ra.ngat hii merii piilii hai mujhako be-ra.ng hii na karade kahii.n ra.ng itane sabz mausam hai, hawaa surK, fizaa niilii hai merii paravaaz kisii ko nahii.n bhaatii to na bhaaye kyaa karuu.N zehan "Muzaffar" meraa jibariilii hai #endindian \endsong