\startsong \stitle{raah-e-talab me.n kaun kisii kaa apane bhii begaane hai.n} \singers{Asrar Narvi #1} \printtitle #indian raah-e-talab me.n kaun kisii kaa apane bhii begaane hai.n chaa.Nd se mukha.De rashk-e-Gazalaa.N sab jaane pehachaane hai.n uff ye talaash-e-husn-o-haqiiqat kis jaa Thahare.n jaae.n kahaa.N sahan-e-chaman me.n phuul khile hai.n seharaa me.n diivaane hai.n tanahaaii hii tanahaaii hai kaise kahe.n kaise samajhaae.N chashmo-o-lab-o-ruKasaar kii tah me.n ruuho.n ke viiraane hai.n apane vajuud kii mastii se ham ri.ndo.n ke ahavaal na puuchh qadam qadam par chhe.D Kirad se nafas nafas maiKaane hai.n dil aaKir thak haar ke yaaro ham ne bhii tasliim kiyaa apanii zaat se ishq hai sachchaa baaqii sab afasaane hai.n #endindian \endsong